Vo sawaal yaad aaye bhulaane ke baad

zindagi barh gai zaher khane ke baad

Dil sulagataa raha Aashiyaane ke baad

Aag Thandi hoi ik zamaane ke baad

Roshani ke liye ghar jalaanaa para

kaisi zulmat barhi tere jaane ke baad

jab na kuch ban para Arz-e-Gam ka jawab

Wo Khafa ho gaye muskurane ke baad

Dushmano’n se pashema’n hona para hi

Dosto’n ka Khuloos Aazmaane ke baad

Bakhash dey Ya-Rab, Ehl-e-Havas ko Bahishat

Mujh ko kyaa chaahiye tum ko paane ke baad

kaise kaise gile yaad aaye ‘Khumar’

Un ke Aane se qabl un ke jaane ke baad…!!!