vo baat baat meN itnaa badaltaa jaataa hai

ke jis tarah ko’ii va’adaa badaltaa jaataa hai

ye aarzuu thii ke ham uske saath saath chaleN

magar vo shaKhs to rastaa badaltaa jaataa hai

jo tez dhuup meN sar par rahaa vohii aaNchal

havaa chalii hai to kitnaa badaltaa jaataa hai

ruteN visaal kii ab Khvaab hone vaalii haiN

ke uskii baat kaa lehjaa badaltaa jaataa hai

vo baat kar jise duniyaa bhii moatbar samjhe

tujhe Khabar hai zamaanaa badaltaa jaataa hai