Usi Tarha Se Har Ik Zakham Khush Numa Dekhay

Woh Aaye Toh Mujhey Ab Bhi Hara Bhara Dekhay

Guzar Gaye Hain Bohat Din Rafaqat-e-Shab Main

Ab Umar Ho Gaye Chehra Woh Chaand Sa Dekhay

Meray Sukoot Se Jis Ko Gilay Rahay Kia Kia

Bichartay Waqt In Ankhon Ka Bolna Dekhay

Teray Siwa Bhi Kaee Rang Khush Nazar Thay

Jo Tujko Dekh Chuka Ho Woh Or Kia Dekhay

Bas Aik Rait Ka Zarah Bacha Tha Ankhon Main

Abhi Talak Jo Musaafir Ka Raasta Dekhay

Usi Se Poochay Koi Dasht Ki Rafaqat Jo

Jab Ankh Kholay,Paharon Ka Silsila Dekhay

Tujhey Azeez Tha Or Mainay Usko Jeet Liya

Meri Taraf Bhi Toh Ik Pal Tera Khuda Dekhay