Tum meri aankh k tevar naa bhula paaoge

ankahi baat ko samjho ge tau yaad aaunga

hum ne khushiyon ki tarha dukh bhi ikhat.te dekhe

safha_e_zeest ko palto ge tau yaa aaunga

iss judaai main tum andar se bikhar jaaoge

kisi maazoor ko deko ge tau yaad aaunga

issi andaz main hote the mukhaatib mujh se

khat kisi aur ko likho ge tau yaad aaunga

meri khushboo tumhe khole gi gulaabon ki tarha

tum agar khud se naa bolo ge tau yaad aaunga

sard raaton k mehekte hue sannaton main

jab kisi phool ko chumoge tau yaad aaunga

aaj tau mehfil_e_yaaraan pe ho maghroor bohat

jab kabhi toot k bikhroge tau yaad aaunga

ab tau ye ashk main honton se chura leta hoon

haath se khud inhe poonchhoge tau yaad aunga

shawl pehnaaega ab kon december main tumhe

baarishon main kabhi bhigo ge tau yaad aunga

haadse aaenge jeevan main tau tum ho k nidhaal

kisi deevaar ko thaamoge tau yaad aunga

iss shaamil hai mere bakht ki taariki bhi

tum SIYAAH rang jo pehnoge tau yaad aunga