Tu chahay mujhay aisi qissmat kahan thi

Kahan main kahan tu ye nisbat kahan thi

Teri bairukhi se ye dil muztarib tha

Mera haal janay ye fursat kahan thi

Meri chahaton ki tujhay kia khabar ho

Tu sochay mujhay teri fitrat kahan thi

Tujhay apne munn say nikaloon to kaisay

Main paa loon tujhay ye sa aadat kahan thi

Jo ban jata mera kaheen humsafar tu

Bhala aisi apni ye qissmat kahan thi

Jissay sunn ke tu nay nigahain jhuka leen

Ye noha tha mera shikayeit kahan thi

Tu jo khuch bhi tha ik vehm tha “Muleem” ka

Faraib e nazar tha haqeeqat kahan thi