teri bataain hi sunanay aa’e

dost bhi dil hi dokhanay aa’e

phool khilte hein tu hum sochtae hein

teray aanay ke zamaanay aa’e

aisi kuch chup si lagi hai jaise

hum tujhe haal sunanay aa’e

ishq tunha hai sir-e munzil-e ghum

kaun yeh boojH uthanay aa’e

ajnabi dost humein dekh keh hum

kuch tujhe yaad dilaanay aa’e

dil dharakta hai safr ke hungaam

kaash phir koi bulanay aa’e

ab tu rounay se bhi dil dukhta hai

shaid ab hosh thikanay aa’e

kya kahein phir koi busti ujri

laug kyooN jashun mananay aa’e

so raho maut ke pahloo mein Faraz

nind kis waqt na janay aa’e