Tamaam Shehar Main Ab To Hai Raaj Kaanton Ka

Mujhe Qubool Nahi Yeh Samaaj Kaanton Ka

Chalo Ke Kuch To Tasalli Hui Mere Dil Ko

Isi Main Khush Hon Ke Paaya Khiraaj Kaanton Ka

Hamare Phool Se Chehron Ko Nochnay Waalon

Kabhi To Tum Pe Bhi Utray Ga Anaaj Kaanton Ka

Sambhal Sakte Nahin Hum Yeh Gham Ki Jageeren

Utaar Li Jiye Sar Se Yeh Taaj Kaanton Ka

Yeh Aur Baat Keh Gul Ki Tarhan Mehekte Rahe

Wagarna Rakhte Thay Hum Bhi Mizaaj Kaanton Ka

Bohat Ajeeb Se Lehjay Main Baat Karta Hai

Hai Aaj Phool Main Kuch Imtezaaj Kaanton Ka

Wasi Shah*