shiddat-e-ghum mein bhi muskrana ho ga

ab yeh fun bhi honton ko sikhana ho ga

lazzat-e-ghum kuch or bhi bher jaye gi

zakhm jis qader gehra or purana ho ga

koi na ho ga raah-e-wafa pe chalnay wala

aysa bhi aik dor aik zamana ho ga

meh-kashon ke bus chehray badel jaayein gey

wohi meh ho gi, wohi meh – khana ho ga

gumaan tha ghum-e-hijer ik raat ka hey

kya khaber thi tamaasha ye rozaana ho ga

koi cha-h nahi mun mein bus ye dekhna hey

kab khatam apni zindagi ka fasaana ho ga