SHAM HAR ROZ TUMHAIN DOONDHTI HAI

DIL ki galiyun main

mohbbat k nihan khano main

shehar main shehar se door bayabno main

sham namnak negahun se bullati hai tumhain

Asemano se kis yaad k teh khano se

sham takti hai teri rah udasi ki tarha

door murjha e hue peron ki khamoshi k tarf se

kehin aa jaae nazar tere larze hue nehate sa wajooud

teri awaz sunaa e de jaae teri parcha e dekha e de jaae

sham har roz tumhain doondhti hai

sham har roz tumhain doondhti hai

sham har roz tumhain dhoonti k thak jaati hai

raat har roz thake jaati hai

raat har roz thake jaati hai