sazaa ka haal sunai.n jaza ki baat karai.n

Khudaa mila ho jinhai.n wo Khuda ki baat karai.n

unhai.n pata bhi chaley aur wo Khafa bhi na ho

is ehatiyaat se kya maza ki baat karai.n

hamaarey eh’d ki tahazeeb mai.n qaba hi nahi

agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karai.n

har aik daur ka mazahab naya Khuda lata

karai.n to hum bhii magar kis Khuda ki baat karai.n

wafa_shiyaar kai hain koi hasee.n bhi to ho

chalo phir aaj usi bewafa ki baat karai.n