Qaasid Ke Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhuun

Main Jaanataa Huun Jo Vo Likhenge Jawaab Mein

Kab Se Huum Kyaa Bataauun Jahaan-e-Kharaab Mein

Shab Haaye Hijr Ko Bhii Rakhuun Gar Hisaab Mein

Mujh Tak Kab Un Kii Bazm Mein Aataa Thaa Daur-e-Jaam

Saaqii Ne Kuchh Milaa Na Diyaa Ho Sharaab Mein

Taa Phir Na Intazaar Mein Niind Aaye Umr Bhar

Aane Kaa Ahad Kar Gaye Aaye Jo Khwaab Mein

‘Ghalib’ ChuTii Sharaab, Par Ab Bhii Kabhii Kabhii

Peetaa HuuN Roz-e-Abr-o-Shab-e-Maahataab Mein