mera sawan bhi tm ho,meri pyas bhi tm ho

sehra ki bahon main chupi ass bhi tm ho

tm youn to boht dor boht dor ho mjsy

ehsas yeh hota hai mery pass bhi tm ho.

har zamany ki aghosh main hai dard tmara,

har dard main taskeen ka ahsas bhi tm ho,

kho jao to veeran c ho jati hain rahein

mil jao to phir jeeny ka ahsas bhi tm ho.

likhta hun to tm he utarty ho kalm sy

parhta hun to lehja bhi tm,awaz bhi tm ho.