log milte hain, log bichhadte hain,

pyar hota hai , dil tootta hai,

jahan dekho wahan kyon,

sirf bura hi kyon hota hai….

koi udaas hai zindagi se,

kisiko maut ne rulaya hai,

koi bhook se be-haal

koi neend ka mara hai,

kahi roshni kam padhti hai

kahin andhere me hi guzara hai

koi tang hai kaam se,

koi kaam talashte pareshan hai

kisi ko mohobat ne mara hai,

koi pyar ka sataya hai,

kahin dil tute hue hain,

kahin emaan bik gaye hain,

kahin sharm bech di jati hai,

toh kisi ko sharam ne mar dala hai.

Ameer hai toh pareshani hai,

gareeb hai toh bhi,

koi ro ro kar mar jata hai,

koi nahi rota toh mar jata hai.

kisi ko gham ne mar dala toh

kahin khushi jan legayi,

kyon sab maut se darte hain,

jab rozmara zindagi ki taklifon se

roz til til marte hain.

Yahan jeena ushi din khatam

ho jata hai jis din,

insaan paida ho jata hai.

phir toh har pal marna hai,

fakat MARNA hai…