Kuchch kadam mere, humraah bunker chaliye

Jindagi hai apani, na majdhar bunker chaliye;

Hausale hon to, sapane bhi hain nikhar jate

Raah hai apani, ek rajdaar bunker chaliye.

Dil ke kunwe mein, lal-lal pani hai dikhata

Apane rangon ko, lalima mein na chchupa chaliye;

Hosh, madhosh hoker, kuchch aapse hai kahata

Apani hi baton ko na, khud se bhula ker chaliye.

Talashane se kabhi, khud ko nahin dhoondh pata insaan

Khojbeen chchod, jindagi ke saath chaliye;

Kaun milata hai, kaun chchootata hai, na gaur karein

Dard sahana hai to, masti ke saath chaliye.

Umar ret ki tarah, sarak rahi hai herdum

Samay ke rang-dhang, mridang sang chaliye;

Umang ka sambandh ho, chahatein prasang ho

Raag-anuraag ho to, sang mere chaliye.

Kuchch kadam mere, humraah bunker chaliye

Jindagi hai apani, na majdhar bunker chaliye.