Kuch is tarhan se hum madhosh ho gaey hain

Fikre mhash man kho gaey hin

Pehley to zindagi ik shama ki

manind thi

Ab hum sirf mome ho gaey hain

Subah sawery jo niklay anpe gharon se

Raat ate he phir so gaey hain

Pehley to hota tha shehron man charcha

Ab hum sirf ik naam ho gaey hain

Chahte thay apne liye be kuch hum

Maghar ab doosron k ho gaey hain

Hote thay jo har waqt deda-e-nazar

Woh dost be kahin kho gaey hain

Humain kisi se koi gila nahi Zia

Bas halat-e-zindagi se majboor ho gaey hain