Baadbaa’n khulnay se pehle ka ishara daikhna

Main samandr daikhti hun tum aayina daikhna

Yun bicharna bhi buht asaan na tha tum se magar

Jatay jatay us ka murr kr wo dobara daikhna

Kisi shabahat ko liye aaya hai drwazay pe chaand

Ae shab-e-hijraa’n zra apna sitara daikhna

Kya qayamat hai k jin k naam pe pspa huwe

Un hi logon ko maqabil mein saff-e-araa’n daikhna

Jb bnaam dil gawahi sr ki maangi jayegi

Khoon mein dooba huwa prchm hamara daikhna

Aayinay ki aankh kuch kam na thi mere liye

Jaanay ab kya kya dikhaye ga tumhara daikhna

Aik masht-e-khaak or wo bhi hawa ki zadd mein hai

Zindagi ki be-bassi ka ista’ara na daikhna…..