Aaj phir din ke ujaale se darr gaya koi

goya sooraj pe hi ilzaam dhar gaya koi

ab na hasrat hai koi na hi aarzu ki chubhan

dil pe jaise yeh ehsaan kar gaya koi

na toh aahat hai koi, na hi dareechey pe sadaa

aisa lagta hai ke be-maut marr gaya koi

ab na mehkega yahan koi mohabbat ka shajar

iss qadar zehar hawaaon mein bhar gaya koi

aaj kal shehar mein aaino pe paabandi hai

aks apne se, sunaa hai, ke darr gaya koi