Aaj Jaane Ki Zid Na Karo

Yunhi Pehlu Mein Bethey Raho

Haaye Mar Jaayein Ge

Hum To Lutt Jaayein Ge

Aisi Baatein Kiya Na Karo

Aaj Jaane Ki Zid Na Karo

Tumhi Socho Zara Kyu’n Na Rokein Tumhey

Jaan Jaati Hai Jab Uth Ke Jaatey Ho Tum

Tum Ko Apni Qasam Jaan-e-Jaa’n

Baat Itni Meri Maan Lo

Aaj Jaane Ki Zid Na Karo

Waqt Ki Qaed Mein Zindagi Hai Magar

Chand Gharriya’n Yahi Hain Jo Aazaad Hain

Inko Khho Kar Kaheen Jaan-e-Jaa’n

Umr Bhar Na Tarastey Raho

Aaj Jaane Ki Zid Na Karo

Kitna Masoom Aur Rangeen Hai Yeh Sama

Husn Aur Ishq Ki Aaj Me’raj Hai

Kal Ki Kis Ko Khabar Jaan-e-Jaa’n

Rok Lo Aaj Ki Raat Ko

Aaj Jaane Ki Zid Na Karo