Wohi galiyaan, wohi koochey, wohi sardi ka mosam he.

Isi andaaz se apna nizam-e-zeest barham he.. Ye husn-e-ittifaaq aisa k nikhri chaandni b he..

Wohi hr simt veerani, udaasi, tishnagi si he..

Wohi he bheerr sochon ki, wohi tanhaayian phir sy..

Musaafir ajnabi or dasht ki pinhaiyaan phir sy..

Wo jis k khone se naghma saraai he..

Usey kehna k bheegi january phir sy loat aayi he.