Uttar na jae kahin yeh khumaar aakhri hay
Ab aa bhi ja k tera intezar aakhri hay

Phir is k bad yeh moqa milay milay na milay
So is ko pehlay chaloon ga jo waar aakhri hay

Her ek shikast ko is azm say qubul kia
Mein jeet jaoon ga aakhir yeh haar aakhri hay

Baja k mein hi akayla bacha hoon lashker mein
Saf e adu mein bhi laikin sawaar aakhri hay

Chamun say mein bhi koi berg e sabz lay ata
Mujhay pata hi nahin tha bahaar aakhri hay

Zara si dair mein yeh bhi nahin rahay ga yahan
Parind eik sir e shakhsaar aakhri hay