mujhse bhi teri aankhon k rishte wahi to hain

badal k bahar se rishte ajeeb hain

kaali ghata k dasht pe barfon ka rakht hai

jitne zameen pe bahte hain dariya un sabhi ka rukh

ik be mahar be kinaar manzil ki simt hai

khawabon main ik bheegi huyee khush dili k saath

milti hai aashna se koi ajnabi si mauj

baadal bhanwar k haath se lete hain apna rizk

phir usko baante hain ajab be rukhi k saath

jungle main zahne baag main shahron k dasht main

chashmon main aabshaar main jheelon k tasht main

gahe kisi ki aankh main bharte hain is tarah

gahe ki ik boond main dairya dikhaayee de

aur doosre hi pal main jo dekho to door door tak

rage ravaan ka na marham dikhaayee de

badal k bahar se jitne hain silsile

mujhse bhi teri aankhon k rishte wahi to hain

SaaMer 0300 2711 588