Mohabat ki tabiyyat men ye kesa bachpana qudrat nay rakha he
k ye jitni purani, jitni bhi mazboot ho jay
isay izhar k lafzon ki hajat phir bhi rehti hey
mohabat mangti he yun gawahi apnay honay ki
k jesay tifl-e-sada sham ko ek beej boay
or shab men barha uttay zamin ko khoud kr dekhay
k poda ab kahan tak he
mohabbat ki tabiiyat men ajab takrar ki khu he
k ye iqrar k lafzon ko sunnay se nahin thakti
bicharnay ki ghari ho
ya koi milnay ki sa’at ho
isay bas aik hi dhun he
kahu mujh s muhabat he
samandar se kahin gehri,
sitaron se siwa roshan
paharon ki tarhan qaym,
hawaon ki tarhan daym
zamin se asman tak jis qadar achay manazir hen
mohabat k kina’ay hen
wafa k istea’ary hen
hamaray hen
hamaray wastay ye chandni raten sanwarti hen
sunehra din nikalta he
mohabat jis taraf jay
zamana sath chalta h

“2 Ajnabi dost”…