kat hi gai judai bhi kab yeh hoa k mar gaey

teray bhi din guzar gaey meray bhi din guzar gaey

tu bhi kuch aur aur hai, hum bhi kuch aur aur hain

janay wo tu kidher gaya janay wo hum kidher gaey

rahon mein milay thay hum, rahen naseeb ban gaen

tu bhi na apnay ghar gaya, hum bhi na apnay ghar gaey

woh bhi ghubar-e-khak tha, hum bhi ghubar-e-khak thay

wo bhi kahin bikhar gaya, hum bhi kahin bikhar gaey

teray liey chalay thay hum teray liey theher gaey

tu nay kaha to ji uthay tu nay kaha to marr gaey

waqt hi judai ka itna taweel hogaya

dl mein teray wasal k, jitnay thay zakham bhar gaey

barish-e-wasal ho hoi sara ghubar dhul gaya

woh bhi nikhar nikhar gaya, hum bhi nikhar nikhar gaey

itnay qareeb hogaey, itnay raqeeb hogaey

wo bhi adeem dar gaya hum bhi adeem dar gaey

SaaMer +92 300 2711 588