Eshq kia hai

E’alaan hai

Apni zaat se dust burdarii ka

Samaan hai

Apni ana kii rukhsatii ka

E’atraaf hai

Apni gumshodgii ka

Eshtehaar hai

La’ta’aluqii ka apney a’ap se

Eshq kya hai

A’adaab-e-ghulaamii kii tafseel

Jaa ko sokhta banaey wala pahaRr

Zindagii bun ker

DoRrney waley lahoo mai

Roshnii bun ker

Roshen rehney wala ala’ow

Tinka tinka sii yeah zindagii

Aa’n kii aa’n mai jagirtii hai

Dookh aur ghum key dozukh mai

Phir koyla baney to khatum ho qissa

Aur raakh baney to

Chootey jaa apni……Wajood se apni

Haa! yeah hii hai ESHQ

Bhooladena apni hustii ko

Aur oter jana rooh mai

Kisii aur key

Baandh lena dour sans kii apni

Oss kii sanso se

Kerdena mudghum apni hustii ko

Osskii hustii mai

Chopker beth jana

Osskii rooh kii geh-raiyo mai

Aur toRr lena apna her naata<...