Dua ko hath uthain

tou dil larazta hai

k par na jaye khud apni nazar wahan k jahan

naseeb likha gaya patharon k harfon say

hathelion ki lakeeron k siah khalaon main

kabhe shabon k kisi karbnaak lamhay main

koi karah jo aa jaye bhool kar lab pay

tou hoal hoal say jatay hain hoaslay saray

k taar taar sama’at k zakham pehlay he

dukhay hoay hain sadaon ki naarsaie say

kaisay batayen k jeewan k kaarzaar main hum

ajeeb haray hoay log hain k har lamha

shikast-e-zaat ki tasweer main muqeed hain

janam lia hai tou ab tak kai zamano say

hum ik tay shuda tadeer main muqeed hain.

SaaMer +92 300 2711 588

===

aankhain jab band kia kartay hain

samnay aap he hoa kartay hain

aap jaisa he mujhe lagta hai

khuwab main jis say mila kartay hain

to agar chor kar jata bhe hai tou kia?

hadsay roz hoa kartay hain

naam un ka,na koi un ka pata

log jo dil main raha kartay hain

hum nay rahi ka chalan seekh lia

hum akailay he chala karatay hain

SaaMer +92 300 2711 588

==…