Zindagi mein kuchh lamhaey aisay aatey hain

Har cheez dhundla jati hae sirf khvaab nazar atey hain

Khvaab hi tu hain jo hamesha saath rehtey hain

Woh janey kaha gaye ab tu bas un ki yadaien hain

Unn sae mil ke phir yeh ehsaas honey lagaa

Wohi ek bas apney han baqi sab tu paraaye hain

Unn ki yeh adda hii saab sae ziaadaa bha gai

jab bhi hum un ko dehktey hain woh sharma jatey hain

Hum ne kabhi bhi unse koi gila na kia

Phir bhi woh humey har waqt sataatey hain

Kuch aysa rishta tha merey un ke darmiyaa

Jaise do panchi milttay hain phir bichrr jatey hain

Hir haal mae hum ne kosshish ki bhoolany ki

Lekin phir bhi us ajnabi ke saaye nazar atey hain

Humary saath ab ziaadaa kuch tu nahi hae

Bas hae ye Chandni raat aur kuch sitaarey hain