Sham-E-Gham bikhar gayee ho gi

Janay kiss kiss k ghar gayee ho gi

Itni larzaan na thi charagh ki la’u

Apnay saaye se darr gayee ho gi

Chandni ik shab ki mehmaan thi

Subah hotay hi mar gayee ho gi

Dair tak woh khafa rahay mujh se

Door tak yeh khabar gayee hogi

Aik dariya ka rukh badaltay hi

Aik nadi phir utar gayee ho gi

Jiss tarah woh safar pe nikla tha

Sari raunaq udhar gayee ho gi

Raat suraj ko dhhondnay k liye

Taa ba hadd-e-sehar gayee ho gi

Meri yaadon ki dhoop chhaaon mein

Us ki surat nikhar gayee ho gi

Teri pal bhar ki dosti MOHSIN

Us ko badnaam kar gayee ho gi.