Sarwar kahoon ke Maalik-o Mawlaa kahoon tujhe

Baaghe Khaleel kaa gul-e zaybaa kahoon tujhe

Hirmaan naseeb hoon tujhe ummeed gah kahoon

Jaane muraado kaane tamanna kahoon tujhe

Gulzaar-e Quds ka gul-e rangeen adaa kahoon

Darmaan-e dard-e bulbul-e shaydaa kahoon tujhe

Subhe watan pe shaam-e gareeban ko doon sharaf

Bekas nawaaz gesu-on waalaa kahoon tujhe

Allah re! tere jisme munawwar ki taabishen

Ay jaan-e jaan main jaane tajalla kahoon tujhe!

Mujrim hoon apne afwa ka saamaan karoon shahaa,

Yaanee Shafee-e- roz-e jazaa ka kahoon tujhe!

Is murdah dil ko muzda Hayaat-e abad ka doon

Taab-o tawaan-e jaan-e Maseeha kahoon tujhe

Tere to wasf ayb-e tanaahee se hain baree

Hayraan hoon mere shaah main kya kya kahoon tujhe

K`eh legi sab kuch unke sanaa khwaan ki khaamoshee

Chup ho rahaa he keh ke main kya kya kahoon tujhe

Lekin Raza ne khatm-e sukhan is pe kardiya

Khaaliq ka banda Khalq ka aaqaa kahoon tujhe!