mujhe aarzoo e sehr rahi yunhi raat bhar bari daer tak

na bikhar saka na simat saka yunhi raat bhar bari daer tak

tha bohat azaab aur akele hum shab e gham b meri taweel tar

rahii zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari daer tak…

yahan har taraf hai ajab samaa sabhi khud pasand sabhi khud numa

dil e be-qaraar ko na mil sakaa koi chaaraa gar bari daer tak

mujhe zindagi hai azeez tar isi waaste mere hum-safar

mujhe qatra qatra pila zehr jo kare asar bari dair tak

‘.^SR^.’