Mohabbat tumse hai yeh maanti hoon mein

chahat bus tumhari hai yeh janti hoon mein

Aao apni zaat ke us pehlu se milaaaon tumhe

.

.

.

.

mein kya hoon aur kon hoon yeh bataaon tumhe

Mein apni maan ki tarbiyat mein dhala ik sancha hoon

apne baba ki umeedon se pur aik khaka hoon mein

Apne bhai ki ghairat hoon yeh jaanti hoon mein

is ghar ki izat hoon yeh maanti hoon mein

To phir behek jaaon phir mein yeh mumkin hi nahin

rishte aur bhi to hain sirf tum hi to nahin

Mohbabbat unhe bhi hai sirf tum ko to nahin