Marti hoi zamee’n ko bachaana parra mujhay…

Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay…

Woh ker nahee’n raha tha mairi baat ka yaqee’n…

Phir yoo’n hua k mar k dikhhana parra mujhay…

Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha…

Che’hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay…

Us ajnabi say haath milaanay k waastay…

Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay…

Yaadai’n thee’n dafan aisi k bad-az-farokht bhi…

Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay…

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar…

Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay…

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan…

Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay…!!