main apni maa ki goud main

sar rakh ke soya karti thi

wo pehle muj ko takti thi

our pyar se phir thapakti thi

khud wo jaag ke ratoon main

muj ko sulaya karti thi

beemar agar main ho jayon

wo sab ko nachaya karti thi

dawain muj ko khilati thi

na khayon tu Daant pilati thi

college se jab main aati thi

din bhar ki ro-e-dad sunati thi

wo ghor se mujh ko sunti thi

our phir samjhaya karti thi

qisse wo mere sun sun kar

khabi na uktaya karti thi

meri wo mehez maa na thi

wo meri aik saheli thi

nakhre main un ko dikati thi

wo laad uthaya karti thi

baad main muj ko hasati thi

jab pehle rulaya karti thi

naraz wo muj ko karti thi

our khud hi manaya karti thi

gusse main agar main aa jayon