Kab kis se kahein aur koun soune jo haal tumhare baad howa

Is dil ki jheel se ankhoon mein ek khuwab bohaat barbad howa

Yeh hijir hawa bhi dushman hai is naam kay saray rungoon ki

Woh naam jo meray houtoon per khusboo ki karha aabad howa

Is sheher mein kitne chehray thay,kuch yaad nehain sab bhool gaye

Aik shaks kitaboon jaisa tha woh shaks zabani yaad howa

Woh apne gaaoun ki galiyaan thein dil jin mein nachta gata tha

Ab iss se farq nahein parta nashaad howa ya shaad howa

Be-naam sataish rehti thi in gheri sanwali ankhoon mein

Aisa tou kabhi soocha bhi na tha DIL ab kitna be- daad howa