yeh aarzo thi tujhay gul k ro baro kartay

hum aur bulbul-e-betab guftago kartay

payaambar na mayasar hua to khoob hua

zuban-e-ghair se kya sharah-e-aarzo kartay

meri tarah se mah-o-mahar bhi hain aavara

kisi habib ki ye bhi hain, justajoo kartay

jo dekhtay teri zangeer-e-zulf ka aalam

aseer hone ki aazab aarzu kartay

na pooch aalam-e-bargashta taala’ee Aatish

barasti aag, jo baraan ki aarzu kartay