Ye zara zara si baat par tarhaN tarhaN ke azaab kiuN?

jo kisi sey bhi khafa na ho mujhey us khuda ki talaash hey

mujhey laghzishoN pe har gharri koi tok’ta hey baar baar

jisey kar ke dil ko dukh na ho mujhey us gunaah ki talaash hey

meiN dhooNdta hooN wo khizaaN jisey gulshanoN sey pyaar ho

jisey kisi chiragh sey na bey’r ho mujhey us hawa ki talaash hey

mujhey us nagar ki hey justuju jahaN koi bhi chahata nahi lahu

jahaN hiran ko sheir sey dar na ho mujhey us jaga ki talaash hey

yahaN ik lamhey ke parrao meiN merey sarey phool jhulas gaey

ab jahaaN talkhioN ki tappish na ho mujhey us fiza ki talaash hey

bina humsafar ke kab talak koi musafitoN meiN laga rahey

jahaN koi kisi sey juda na ho mujhey us raah ki talaash hey

in husn-kadoN ke shor sey meri samaa’ateiN heiN ajnabi

ho jis pukaar meiN mukhlisi mujhey us sada ki talaash hey

mujhey deikh kar jo ik nazar merey sarey dard samajh sakey

jo is qadar ho chaara-gar mujhey us nigaah ki talaash hey