Ye Raakh Raakh Ruttein, Apni Raat Ki Qismat

Tum Apni Neend Bujhaa,o, Tum Apnay Khuaab Chuno

Bikherti Doobti Nabzoon Pe Dhiyaan Kiya Dena

Tum Apnay Dil Main Dharaktay Hovay Haroof Suno

Tumharay Shehar Ki GaliyooN Main Sail-E-Rang Bakhair

Tumharay Naqsh-E-Qadam Phool Phool Khiltay Rahien

Woh Rahguzar Jahan Tum Lamha Bhar Thehar Kay Chalo

Wahan Pe Abar Jhukein, Aasmaan Miltey Rahien

NahiN Zaroori Kay Har Ajnabi Ki Baat Suno

Har ek Sadaa Pe Dharakna Bhi Dil Ka Farz Nahin

Sukoot-E-Hulqa-E-Zanjeer-E-Darr Bhi KiyoN Tootay

Sabaa Ka Saath Nibhaana Junoon Ka Qarz Nahin

Hum Aisay Log Bohat HaiN Jo Sochtay Hi Nahin

Kay Umer Kaisey Kati, Kis Kay Saath Beet Gayee

Hamari Tushna-Labi Ka Mizaaj Kiya Jaanay

Kay Fasal-E-Bakhshish-E- Moj-E-Furaat Beet Gayee

Ye Aik Pal Tha Jissay Tu Nay Nooch Dala Hay

Woh ek Sadii Thee Jo Bay-Iltifaat Beet Gayee

Hamari Aankh Lahoo Hay, Tumhein Khaber Hogi

Chiraagh Khud Se Bujha Hay Kay Raat Beet Gayee