Ye jo ham kbhi kbhi sochty hn rat ko,

Rat

kya smjh saky in muamlat ko!

Husn aur nijat

me fsl e mashriqain hy,

Kon chahta nhi husn

ko, nijat ko?

Ye sukun e be jehat, ye

kashish ajib hy,

Tjh me bnd kr dya ks ne

shash-jihat ko!

Sahil e khayal par

kehkashan ki chhoot thi,

Aik mauj le gai in

tajalliyat ko!

Ankh jb uthy bhr aye, shair

ab kaha na jaye,

Kese bhool jaiye bhoolne

ki bat ko?

Dekh A meri nigah, tu bhi hy

jahan bhi hy,

Ks ne ba khbr kaha dusry ki

zat ko!

Kya huin rawayaten, ab hain kyun

shikayaten?

Ishq e namurad se husn e be

subat ko?

Ay bahar e sar giran tu KHIZAN

nasib hy,

Aur ham taras gay tere iltafat

ko..!