Wafa k qaid khaano mein sazaein kab badalti hain,

Badalta dil ka mosam hai hawaein kab badalti hain,

Libaada orrh ker ghum ka nikal jatey hain sehra ko,

Jawab aaey k na aaey sadaein kab badalti hain,

Meri sari duaein tum se hi mansoob hain,

Mohabbat ho agar suchi duaein kab badalti hain,

Koi pa ker nibhaata hai koi kho ker nibhaata hai,

Naey andaz hotey hain wafaein kab badalti hain….