Nazro Ki Talaash Mein Mith Chuka Hai Aks Mera
Ke Aaine Ki Aahaton Se Toot Chuka Hai Dil Mera
Bayaan Nahin Hota Hai Ab Sach Ka “Masroor”
Ke Jhoot Ki Baaton Se Badal Gaya Hai Yaar Mera
Takleef Hoti Hai Jab Woh Mussaraat Ke Logon Nahin Milte
Ke Ajnabee Se Takrakar Jhalta Hai Dil Mera
Ab Kaise Jalaau Shamaa Us Shaks Ke Naam Kahin
Jab Ki Uske Naam Ke Zikr Se Choor Ho Jaata Hai Dil Mera
Koshish Sirf Rehti Hai Yeh Dil Ko Samjaane Ki
Ke Us Farebi Se Milke Badal Gaya Hai Yaar Mera
Ab Aisi Talaash Mein Na Raho “Masroor”
Ke Chalte Chalte Maut Se Dosti Ho Jaaye
Ke Zindagi Se Mohabbat Karke
Kabr Mein Pohuch Chuka Hai Yaar Mera
– Masroor