Tum to bicher gaye magar sapne wohi rahe

Mausam badal gaye magar manzar wohi rahe

Hoti rahin sergoshian tanhaiyon k saath

Lehren badal gayen magar sahil wohi rahe

Kuch aese taqdeer ne faisle kiye

Duayen badal gayen magar daman wohi rahe

Hum chah k b umar bhar nashad he rahe

Umar beet gayi magar jazbe wohi rahe

Kya hua jo rishton ki pehchan badal gayi

Hum b wohi rahe aur tum b wohi rahe…!