teray shanay pay kabhi rakh k yae sar so jatay

roz-o-shab apnay bas aisay hi basar ho jatay

khud numai ka humain shok nahin tha verna

iss tarha jaan lutatay k amar ho jatay

raigzaar-e-gam-e-jana ko basanay k liye

iss qadar ashk bahatay k behr ho jatay

jaan-e-bay faiz ko tasleem nahin tu nay kia

verna sad shok say hum taeri nazar ho jatay

tu sadaf hai humain tasleem hai yae baat mager

saath milta jo tera hum bhi guhar ho jatay

tu kabhi rab say humain mang k takta to sahi

hum teri sari duaoon ka asar ho jatay