tamam laug akeley thai raahber hi na tha

bichharhne walo’n mai ik mera hamsafar hi na tha

birahna shakho’n ka jangal gharha tha aankho’n mai

wo raat thii k kahee’n chaand ka guzar hi na tha

tumharey shehr ki harr chhao’n mehrba’n thii magar

jaha’n pe dhoop karhi thii waha’n shajar hi na tha

samait laiti shikasta ghulab ki khushboo

hawa k hath mai aisa koi hunar hi na tha

mai itne sanpo’n ko russtey mai daikh aayee thii

k terey sheher mai pohnchi tau koi darr hi na tha

kaha’n se aati kiran zindagi k zinda’n mai

wo ghar mila tha mujhe jiss mai koi darr hii na tha

qadam tau rait pe saahil ne bhi na rakhne diya

badan ko jhakrhe huwe sirf aik bhanwar hi na tha