Suno mein laut aya hoon Meri batein Meray waday Mein apne saath laya hoon, Suno meri dharkan mein Wohi ik saaz bajta hai Andaz meri baton ka Tera andaz lagta hai Khazaan k zard patton ko Barf se sard mosam ko Hijar ki garm aahon ko Tanhai ki bahon ko Suno Main chor aya hoon Abhi jo sakt baaqi hai Mera jo wqat baaqi hai Sameto mujh ko bahoon mein Mujhay chand khushiyan de dalo Meray sab gham sameto tum Chand lamhay mujh ko de dalo Mein sab rishtay Sabhi natay Sabhi bandhan Sabhi dhage Suno Mein tor aya hoon Suno mein laut aya hoon