Such kahoon mujh ko ye unwan bura lagta hay

Zul’m sehta hua insan bura lagta hai

K…is qadar ho gaii masroof ye dunya apni

Ek din thehray to mehman bura lagta hay

Un ki khidmat to bohat door, bahoo baiton ko

Budhay maan baap ka farman bura lagta hay

Mairay Allah mairi naslon ko zillat say nikal

Haath paihlaye musalman bura lagta hay

Guzar chuka hay zamana wo inkisari ka

Kay ab mizaj bana lijiye shikari ka

Hum ehtaram e muhabbat main sar jhukatay hain

Ghalat nikal na mafhoom khak’shari ka

Wo badshah bana baitha hay muqaddar say

Magar mizaj hay ab tak wohi bhikari ka