– Woh inkar karte hain
ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishq karne wale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
– Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti
shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
– Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
– Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno me jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udaan hoti hai.
– Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.
– Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha…..