Waise toh mujhe jindagi se koi gam nahi
Tanha hoon main magar ye
Tanhai hai mujh se, main tanhai se nahi….
Rashte kathin hai magar
Safar namumkin toh nahi
Manzil nigaahon main basi hai lekin
Dagar ka pata hi nahi…
San-sani hai fizao par
Koi tufaan bhi nahi
Ek aahat thi uski
Hui koi dastak bhi nahi
Ladkharaatein hue kadamon se chal kar
Dekha maine jo palat kar
Wo yaadein thi uski
Par lagaa-esa ki kahi woh aayi toh nahi…
Nahi woh aayi toh nahi,
Magar woh gayi bhi nahi
Es dil-e-dariya se maine
Woh sulagte hue aahsaas mitaaye bhi nahi…
Berukhee hai koun jajba
Yaha koi ruswai hi nahi
Ye toh the iss dil ke ishaarein
warna, who toh yaha kabhi aaye hi nahi
Palkein unko nihaar payi hi nahi
Shabnam kabhi aansu barsai hi nahi
Nazarein us-se kabhi mil payi hi nahi
Baahein usko aagosh main kabhi le payi hi nahi
Ki ye toh tha ekk hansin khwab mera
Jisse kabhi jindagi ban payi hi nahi
Jevan sach hai aur
Khwab sacchai toh nahi
Maana mein bikheri khwahishon ki sez
Par yaha beraham bewafai toh nahi
Shayad tabhi mujhe jindagi se koi gum nahi
Tanha hoon main magar ye
Tanhai hai mujh se,
main tanhai se nahi….
With Love
Akki
Thanks & Regards
Ankur Maheshwari
Cell No. +91 99114 17468