Pyaar Kamjor Dil Se Kiya Nahi Ja Sakta,
Zeher Dushman Se Liya Nahi Ja Sakta,
Dil Mein Basi Hai Ulfat Jis Pyar Ki
Us Ke Bina Jiya Nahi Ja Sakta.
`
Saath Rehte Rehte Yuhi Waqt Guzar Jayega
Door Hone Ke Baad Kaun Kise Yaad Aayega
Jee Lo Ye Pal Jab Hum Sath Hai
Kal Ka Kya Pata, Waqt Kahan Le Jayega
`
Zindagi Nahin Humein Doston Se Pyaari,
Doston Ke Liye Haazir Hai Jaan Hamaari,
Aankhon Mein Hamaari Aansoon Hai To Kya,
Jaan Se Bhi Pyaari Hai Muskaan Tumhaari !
`
Jasbaate Ishq Naakaam Naa Hone Denge,
Dil Ki Duniya Mein Kabhi Shaam Naa Hone Denge,
Dosti Ka Har Ilzaam Apne Sar Par Le Lenge,
Par Dost Hum Tumhe Badnaam Na Hone Denge !
`
Dosti Ek Saahil Hai Tufaano Ke Liye,
Dosti Ek Aaina Hai Armaano Ke Liye,
Dosti Ek Mehfil Hai Anjaano Ke Liye,
Dosti Ek Khawaahish Hai Aap Jaise Dost Ko Paane Ke Liye !!
`
Tujhe Dekhe Bina Teri Tasweer Bana Sakta Hoon,
Tujhse Mile Bina Tera Haal Bata Sakta Hoon,
Hai Meri Dosti Mein Itna Dum,
Apni Aankh Ka Aansoon Teri Aankh Se Gira Sakta Hoon !!
`
Aye Dost Teri Dosti Uss Ghadi Tadpaayegi,
Jab Zindagi Kahegi Alvida, Aur Maut Bhi Naa Aayegi !
`
Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Ikraar Hota Hai
Kaun Kehta Hai Ishq Me Bas Inkaar Hota Hai
Tanhai Ko Tum Bebasi Ka Naam Na Do
Kyunki Ishq Ka Doosra Naam Hi Intezar Hota Hai !!
`
Dete Ho Kyun Ye Dard Bus Humi Ko
Kya Samjhoge Tum In Ankho Ki Nami Ko
Yun To Honge Lakho Deewane Is Chand Kay
Chand Kya Mehsus Karega Ek Tare Ki Kami Ko !!
`
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai,
Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai,
Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye,
Is Dil Par Asar To Aap ke Mulakat Ka Hai !!
`
Love & Smile
Pravesh Singh