Hum To Ye Baat Mehej Soch Ke Ghabrate Hain.
Jane Kyun Log Wafa Karke Bhool Jate Hain.
Yun To Kehte Hain Jaan Bhi Le Lo;
Waqt Pe Aaker Mager Ye Log Muker Jaate Hain.
Chah Peene Ki Jab Nahi Rehti
Leke Wo Jaam Mere Peechhe-Peeche Aate Hain.
Dekhte -Dekhte Rah Maine Moond Lee Palkein
Tab Wo Tasreef Mere Gher Ki Taraf Late Hain.
Ek To Seh Rahe Hain Hum Gardishein Judai Ki
Tasabbur Mein Bhi Ab To Tanha Chhod Jate Hain.
Jab Se Hue Ruswa Teri Galiyon Mein
Apne Gher Jate Hue Jane Kyun Sarmate Hain.
Gher Se Chori Chhipe Nikalte Hain
Jane Milne Kise Ye Log Kidher Jate Hain.
Chheen Ke Sab Mera Bedard Jamane Wale
Mujhko Awara Sahi Naam To De Jate Hain.
Jane Pehchane Bhi Humse Nazer Churane Lage
Footpath Per Akser Chehre Bigad Jate Hain.
Chand Jab Se Hua Khafa Humse
Nanhe Se Tare Bhi Ab Khulke Munh Chidhate Hain.
Ya Khuda Zindagi Ka Ye Bhi Koi Makshad Hai
Kamana Khana Wahi Aur Chale Jate Hain.
Kya Mastghan Ye Log Sarfire Se Nahi
Jana Hai Kabristan Main Bade Bade Ghere Banate Hain.