Har pal me pyaar hai, har lamhe me khushi hai,
Kho do to yaad hai, jee lo to zindagi hai.
Kabhi gamo se tumhaari mulakaat na ho,
Udaas baithe ho aisi koi baat na ho,
Shikayat ho to hame maaf kar dena,
Fursat me baithe ho to hame yaad kar lena.
Jab dosti ki dastaan vakt sunayega,
Hamko bhi koi shaks yaad ayega,
Tab bhool jaayenge zindagi ke gamo ko,
Jab aapke saath gujara vakt yaad ayegaa.
Hamne socha tha hami chaahte hai aapko,
Par aapke chaahne vaalon ka kaafila nikla,
Socha khuda se shikayat karu,
Par vo khuda bhi tera chaahne vala nikla.
Chaaho to dil se mujhko mita dena,
Chaaho to mujhko bhula dena,
Par ye vada karo ki kabhi meri yaad aaye to,
Rona mat sirf muskara dena.
Tum dur sahi majboor sahi,
Par yaad tumhaari aati hai,
Jab saans vaha par lete ho,
To badboo yaha par aati hai.
Suna hai asar hota hai baato me,
Aap bhi bhool jaaoge do-chaar mulaakato me,
Hamse bachkar kaha jaaoge,
Aapki dosti ki lekeer hai in haatho me.
Zindagi ke tohafo ka saahil hai teri dosti,
Dil ke aramaano ki manjil hai teri dosti,
Zindagi ban jaayegi jannat agar,
Sada saath rahegi teri dosti.
Gam ka shikva kabhi na kiya,
Gam to cheez hi aisi hai,
Tum khush raho hamaara kya,
Hamaari to takdeer hi aisi hai.
Aisa nahi ki aapki yaad aati nahi,
Khata itani hai ki ham batate nahi,
Dosti aapki anmol hai hamaare liye,
Samajhte ho aap isliye jataate nahi.
Uthate hai jab ye haath dua ko,
Rab se tere liye hi fariyaad karte hai,
Tum hame bhula bi do to kya,
Ham to tumhe har pal yaad karte hai.
Tumko sirf tumko chaha chaahat ki kasam,
Tum bin jeena pade hamko mar jaayenge ham,
Dil hai tumhara dhadkan tumhaari,
Tere liye hai saanse hamaari.
Kar karz dosti ka ada kaun karega,
Jab ham hi na rahe to dosti kaun karega,
Ai khuda mere doston ko salaamat rakhna,
Varna mere jeene ki dua kaun karega.
Aap kya jaano ham kitna yaad karte hai,
Maano ya na maano har pal fariyaad karte hai,
Roj khat likhate hai `cartoon network’ ko,
Aap hi ko dikhane ki maang karate hai.
Hoti nahi hai mohabbat soorat se,
Mohabbat to dil se hoti hai…
Soorat unki khud-ba-khud lagti hai pyaari…
Kadar jinki dil me hoti hai.
Ham dosti ka farz yu hi nibhaate rahenge,
Vakt-bevakt aap ko sataate rahenge,
Dua karo ki umar lambi ho hamaari,
Varnaa rooh bankar aapko zindagi bhar daraate rahenge.
Har gali phoolo se saja rakhi hai,
Har darwaje pe swaagat me ek ladki bitha rakhi hai,
Na jaane kis darwaaje se aaoge tum,
Isliye har ladki ko ek raakhi thama rakhi hai.
Zindagi jaise ek saja-si ho gayi hai,
Gam ke saagar me is kadar kho gayi hai,
Tum kar do ek SMS ye gujaarish hai meri,
Tumhaare SMS ki aadat-si ho gayi hai.
Dosti hai dil-raaz batane ke liye,
Ham apni hasi mita de aapko hasane ke liye,
Milne ki to aapko fursat nahi,
To ham SMS karte hai apni yaad dilane ke liye.
Sab yaad tumhi ko karte hai,
Tumhaare aane ki aahat se bhi darte hai,
Na jeete hai na marte hai,
Aap hame please bataane ki… koshish kare,
Aap snaan kyon nahi karte hai.
Choti-se-Choti raat bhi lambi lagati hai,
Jab tumhaari yaad hame satati hai,
Ham aaye na aaye tumhaari yaado me,
P