Devi Maan Kar Karta Raha Jiski Upaasna
Kyun Samjh Baithi Mere Pyar Ko Wo Vaasna
Mann Mandir Mein Basai Hai Moorat Uski
Kyun Nahin Chaha Usne Dil Mein Mere Jhaankna
Mere Aansuon Mein Jhil_milati Hai Soorat Uski
Saansein Karti Hai Bas Uski Hi Aaradhna
Kaash Mere Jazbaton Ko Samjh Pati Wo
Mein To Chahta Tha Sirf Pyar Baantna